Saturday, February 21, 2009

Mann Vyakul Hai !!!

mann ki abhilasha vyakul hai
manthan mann main chal raha
na jane kya ho raha
tufano ke bawandar per
mann dindole kha raha
vyakul jeevan kuch talash raha
pukar raha jameer ko
kuch karne ko keh raha
kya kare hum soch rahe
dil humara vyakul ho raha
sapno ke bhanwar main khoya humara mann hai
apno ko talash raha
kya main karna chah raha
aakash ke bulandiyan chuna chah raha
kahan apna jahan uski talash kar raha
mann humara vyakul ho raha
apni bulandiyon ka jhanda garna chah raha

Himmat na haar !!!

aage badho himmat na har 
hai har haal main pana jiski hummein talash
chahe safar kitna lamba
dagar kitna muskil
himmat na har hosla badha
tu aage badhta ja
hai sitaron ke binch apna jahan
tu kadam apna badhta ja
sochta kya hai tu kadam badhata ja
hai agar muskil dagar per
tu apna hosla badha
manzil ki taraf badhta ja
tufano se kya ghabrana 
tu kadam se kadam milata ja
apni manzil ki taraf badhta ja
hai agar himmat tumme
to manzil ko payega
data reh tu na ghabra inn tufano se
tu manzil ko badhta ja
himmat rakh manzil ko payega
teri himmat dekh ek din tufan bhi apna rashta badalenge
tu aage badhta ja
na darr badhayon se
isme bhi apni jeet samajh
tu aage badhta ja.....

Wednesday, February 11, 2009

Tanha hun main !!!

Tanha hun main viran hai jeevan
khoya hun khayalon mein
jeevan ka kya hai ye to hai rangmanch ki katputli
bhid main hun tanha akela
jeevan ki aapadhapi main
deekho insaan jeena bhul gaya 
har koi bhag raha apni raftaar main
har chehre dekho kitne pareshan hain
jaise na jaano inko kiski talash hai
jeevan ki is bhoolbhulaiya main dekho 
har aadmi pareshan hai

hum mastane aur deewane !!!

Hum diwaane hum mastane
masti main hum chale 
na humko aaj ki fikr 
aur na kal ki parvah
jidhar ko chaha udhar ko chale 
udham machate hum chale 
hum apne dil ke sehjade
rok sako to rok lo
kehte hum shaan se
apni na koi manjil
na koi rashta
jidhar chaha udhar ko chale 

Thats the Spirit !!!

hai agar muskil ye rashta
kaante hai agar dagar pe
kya ghabrana inn raaston se
hum inko gulab samajh lenge
ye pida ko amrit samajhkar pee lenge
daate rahenge apne path per
akhir humein us paar jo jana
hum na ghabarayenge jab tak na milegi humko apni manjil
path per daate rahenge
hosla hain humare mann main
aa aaj parvat jhuka dein
chahe to barf pighla dein
aey hawa humara parichay kya puchti
bata denge waqt aane per
hai kahan himmat ki aandhiyan hummein uda le
hum agar chahe to jamana hila dein
hosla hai himmat hai
hai kuch kar dikhana hai
jo aaj thani hai 

Tuesday, February 10, 2009

meri kavita......

I will write soon. plz send me your comments...

eh soch !!! msg for current youth generation

ek soch lekar chala hoon, ek mashal lekar chala hoon...kab tak dabaye rakhoge apni dhadhakti jawalamukhi aangaron ko.kab tak kaid rakhoge apni soch band pinjaron main.bata do jamane ko main aa gaya...hai aag lagi dil main kuch kar dikhana hai.ek nayi soch dil main jagane aaya hoon.......