Saturday, February 21, 2009

Himmat na haar !!!

aage badho himmat na har 
hai har haal main pana jiski hummein talash
chahe safar kitna lamba
dagar kitna muskil
himmat na har hosla badha
tu aage badhta ja
hai sitaron ke binch apna jahan
tu kadam apna badhta ja
sochta kya hai tu kadam badhata ja
hai agar muskil dagar per
tu apna hosla badha
manzil ki taraf badhta ja
tufano se kya ghabrana 
tu kadam se kadam milata ja
apni manzil ki taraf badhta ja
hai agar himmat tumme
to manzil ko payega
data reh tu na ghabra inn tufano se
tu manzil ko badhta ja
himmat rakh manzil ko payega
teri himmat dekh ek din tufan bhi apna rashta badalenge
tu aage badhta ja
na darr badhayon se
isme bhi apni jeet samajh
tu aage badhta ja.....

1 comment: