Saturday, February 21, 2009

Mann Vyakul Hai !!!

mann ki abhilasha vyakul hai
manthan mann main chal raha
na jane kya ho raha
tufano ke bawandar per
mann dindole kha raha
vyakul jeevan kuch talash raha
pukar raha jameer ko
kuch karne ko keh raha
kya kare hum soch rahe
dil humara vyakul ho raha
sapno ke bhanwar main khoya humara mann hai
apno ko talash raha
kya main karna chah raha
aakash ke bulandiyan chuna chah raha
kahan apna jahan uski talash kar raha
mann humara vyakul ho raha
apni bulandiyon ka jhanda garna chah raha

2 comments: